logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - shahid baltistani - 2004

Haaye Sakina

Haaye sakina


Haae sakina, qaid hokar, shaam ke zindaan mei, jab aayiWoh bachi, us andhere, ghar ki taariki se ghabraayiZamin to farsh thi saaya faghan tha, charkh neel aayiMuqaddar mei musibat ki ye pehli raat dikhlaayiPhuphi ke paas rehti thi, naa maa ke paas soti thiHaae phuphi ke paas rehti thi, naa maa ke paas soti thiHaae barehnaa sar khari zindaan ke darwaaze pe roti thiUdhar se, jo guzar ta tha use kehti thi sultaan jaaMei bekas qaid mei baithi hun ik paigaam hai meraAgar baba mile tujko to tu kehnaa qasam khaataSakina par musibat hai khabar lo ai shahe waalaAgar tujse kahen khaimon mei sota chor aaya hun

To tu kehna dare zindaan pe rota chor aaya hun
Sakina

HomebookmarkmybayaazSetting